Wednesday, 26 April 2017

Facebook Account Delete And Deactivate kaise kare (Hindi me)

Facebook ek aesa social media site h jo is time agar koi net use karta h to uska facebook par 100% account hoga. Kuch survey ke hisaab se average lgaya gya h ki ek aadmi ek din me kam se kam 23 minutes facebook use karta h.



Agar simple kahu to kuch log facebook ka keeda rahte h. choti se choti cheez ko facebook par share karte h jaise kab khana khaya, kab paani piya, kab soya, kab utha, Din bhar me 20-30 post daalte h. aur likes ke liye kya batau kya pagalpan h, comment to bus ek aa jaaye to usi ko thanks like bolenge taaki comment badhe, kheir.....apne topic par aate hain.



Aaj me is post me aapko btaunga ki hum apne Facebook Account ko Deactivate kar sakte h aur kaise hamesha ke liye apne Facebook Account ko Delete kaise kare..


Facebook Account ko deactivate kaise kare

Sabse pahle hum ye samjh lete h ki deactivate karne se hota kya hain--

Facebook Account ko jab koi deactivate karta h to uska account koi search nhi kar pata or uske jitne bhi photo or video h wo kisi ko bhi nhi dikhta. Account ko deactivate karne ke bahut bahut se karan ho sakte h jaise aapka exam chal raha ho ya facebook se thoda door rahna chahte ho etc.

To account ko deactivate karne ke liye sabse pahle apne account ko Log In kare.





Setting >> Security >> Deactivate your account

Ya phir direct jaane ke liye is link par click kare

                        Deactivate Facebook Account

Ab jo page open hoga usme aapke account deactivate ka karan poochega.


1- isme aap koi bhi select kar sakte h.
2- aur last me Deactivate ke button par click kar de.

Agar aapne Facebook page Banaya hain to uske liye bhi poocha jata h ki aap kisi aur ko admin bnana chahte h to bna sakte h ya phir hamesha ke liye delete kar de.

Ye bhi Padhe: Facebook Par Page kaise bnate hain



Facebook Account Ko Hamesha Ke Liye Delete Kaise Kare

Facebook account delete karne ki aapki koi parsonal wajah ho sakti hain. ho sakta ho aapne do account bna liya ho. jo kuch bhi ho chaliye dekhte h FB account kaise delete karte hain.

Sabse Pahle aap apne facebook account me Log In kare. phir iske baad Is button par click kare :- 
    
                     Delete Facebook Account Permanently

Next ab ye page open hoga, Delete  My Account ki button par click kare.


Click karne ke baad aapke account ka password fir se daalna hoga. phir jo code h use box me daalna hoga or last me ok par click kare..




Ab aapke saamne Ek msg aayega ...---

 Is msg me Likha hain ki aapka account Deactivate ho gya h or 14 din tak aap apne account ko login karke deleteing cencel kar sakte ho.

Facebook account ko delete karne ke 14 din baad koi tareeka nhi h account ko wapas recover karne ka.

Agar aap apne facebook account ko delete hone se rokna chahte h to aap Fb Log In kare phir aapke saamne ek aesa page aayega. 


Aap chaaahe to 14 din pahle account delete karne ki request ko cancel kar sakte ho.
log in karne ke baad is page ke Cancel Deletion par click karne par aaka account phir se active ho jayega..

Agar aapko koi bhi jaankari chahiye facebook se releted to aap hame jaroor comment karke pooch sakte ho..

Note:- please koi ye na poochna ki facebook ko hack kaise karte h, is topic par me aapki koi madad nhi kar sakta , haa agar ye jaanna chahte ho ki facebook par security kaise strong kare to me usme jaroor madad kar sakta hu


Agar aap facebook account delete nhi kar rahe h ya aapka koi doosra account h to pls Chutki Me Jaankari Ka Facebook Page jaroor like kare.