Friday, 15 April 2016

Andriod Mobile Chori Hone Ya kho Jaane Ke Baad kya Kare 5 Jaroori Baate


Aaj kal har koi smart phone use krta h. Har kisi ke paas koi na koi android mobile mobile mil hi jata h. aese me smart phone chori hone ya kho jana aam baat ho gya h. Daily pta nhi kitno ka mobile gum ho jata h but problum tab hoti h, jab aapki parsonal data mobile me hoti h or aapke gmail,facebook,whatsapp jaisi ID mobile me log in rhti h. Isse dar lga rhta h ki kahi koi meri Id se koi galat istmaal na kare.

Magar ab aapko tention lene ki jarorat nhi h, ab aap apne doosre phone se chori huye mobile ko control kar sakte h. isse choor ko ya phir aapko khoya hua mobile jise  bhi milega usko mobile ki jagah sirf khilona hi haath lagega. ek aesa dabba jisse sirf bacche hi khel sakte hai.


Aaj ke time me market me aese aese app available hain jo sabke baare me koi bhi nhi jaan sakta. In me se kuch app bahut kaam se hote h or hamari badi se badi dikkate (problum) solve kar sakte h. jisse hame andriod mobile se hi bahut kuch control karne ka power mil jata h. isi technology ki help se hum apne khoye huye ya chori huye phone ko apne doosre phone se control karke usme se jaroori parsonal data remove kar sakte hai.
    

Is post me aapko kuch aesi tricks btane jaa rha hu jisse aapko khoya hua mobile ya chori kiya gya mobile fir se aapko mil sakta h. ya phir aap apne mobile me se apni parsonal information delete kar  sakte h.isse aapko sirf khone ka nuksaan hoga baaki aapki sabhi data secure ho jayegi.



****5 Importent Tricks:Mobile Phone Chori Hone Ya kho jaane ke baad kya kare****


Apna mobile khone ke baad wapis milne ki chance(sambhawna) to bahut kam hi hoti h but aap apni taraf se khosis kar sakte hai Ho saakta h aapko koi mobile wapis bhi louta de, kyuki us mobile ko dabba bhi bna sakte ho..


***1. Track Your Mobile Location***

Mobile ke kho jaane ya chori hone par sabse pahle aapko phone ki location pta karni chahiye. isme google aapki help karega. google aapki android mobile ki location btayega. jisse aapki phone ki location ka pta bhi chal jayega. saath me aap google ki madad(Help) se khoye huye mobile ki ring bhi bja sakte ho.Acchi baat yah ki agar aapka phone silent me hoga to bhi ring full valume me bjega.

***2. Warning For Thief***

Andriod device maneger me aap chor ko warning de kar aaghah kar sakte hain. iske alawa aap apne phone ko chori karne wale ko messege bhi kar sakte h ki aap is phone ko wapis kar de warna me ise deactivate kar dunnga. phone ki sim band kar dunga. phir ye mobile dibba ho jayega or ye mobile aapke koi kaam nhi aayega. isse accha hoga ki aap is phone ko wapis kar de. iske liye aap chor ko ya jise bhi aapka khoya hua mobile mila ho use 100-500 (koi bhi amount ) offer kar sakte h.
msg me aap apna contact num. bhi add kar sakte h.
agar phone paane wale ki aapki baat samjh me aa gyi hoti to wo aapka mobile wapas kar sakta h .

***3. All Account Ko Secure Kare***

Aapke mobile me agar gmail , facebook ya twitter koi bhi social account Log In hain aur aapka Android Mobile chori ho jaaye ya kahi kho jaaye or upper btaye 1 num. trick se bhi mobile ka pta na lge to sabse pahle aap doosre mobile me log in karke sabhi ID par se log out kare. sabhi social network par other device par Sign Out All Other Session ka option hota hain. isse aapke saare account secure ho jayenge aur koi bhi aapki ID ka galat upyog nhi kar payega.

***4. Unclick Other Apps Account***

Mobile me other apps jaise Drop Box Ya Google Drive jaise bhi hote h inme bhi aapke parsonal data ho sakta hain. So mobile kes chori hone par aap doosre android mobile me se in app par log in karke other app ko Unclick kar sakte ho. iske liye aap is app ke profile setting me jaaye wha par security ke option me unclick ka option hota hain, us par click karke apne khoye huye android mobile me se saari data delete kar sakte h.

Mobile phone chori hone par sabse pahle aap mobile ki sabhi Seem Block kare. jisse chor aapki sim se galat call na kar sake. iske liye aap apni sim Oprator Costomer care me baat karke sim block karwa sakte h.

***5. Delete Mobile All Data***

Agar aapko lagta hai ki ab mera Android Mobile wapas to mil nhi sakta hai to aese me aap Mobile ka data delete kar sakte h. jisse jisko bhi aapka phone mile ya jisne bhi aapka phone churaya hai. uske haath aapki saari parsonal data na lge . isske liye aap doosre mobile ke Android Device Maneger me jaaye wha aapko phone me data delete karne option milega. in feature ki help se aap apne mobile ko puri tarah se control kar sakte h. fir chahe aapka phone kho gya ho ya chori ho gya ho.





Ummid karta hu ki ye post acchi lgi hogi or aapko phone chori hone ke baad kya karna h uski poori jaankari mil gyi hogi.
Agar me sahi hu to is post ko jaroor se jaroor Share kare........
Share:

0 comments:

Post a Comment