Saturday, 23 April 2016

Badiya Password Bnane Ki 7 Best Tricks




Operate Mini Google aaj aapke liye lekar aaya hain password bnane ke kuch aasan se tips jisse aap apni Importent cheezo ke password ko bahut acchi tarah se secure kar sakte ho.

Agar aap apne mail account, facebook account, bank account ya ATM account ke password ko hacker se bchana chahte ho jisse koi aapka account hack karke aapke account se koi galat kaam na kare To aapko in 7 tricks ko jaroor follow karna chahiye....


1. Sentence Ka Istemaal Kare :-


Password ke liye kisi sentence ke baare me sochna chahiye jo kewal aapko pta ho jaise ki 'my name is SHANTUR GUPTA'. ab aap is sentence ke adhaar ko apne password ke liye select kar sakte, isse sentence ka har pahle akshar ko apne password ke liye use kar sakte hain.
Ex:- 'mnisg' .

2. Trick ka istemaal kare :-


Password ke liye kuch trick bhi apna sakte hain.
EX :- Simple password 123456 ki jagah aap 'pass123456word' ko use kar sakte hain. Ya phir aap A ki jagah @ or S ki jagah $ or H ki jagah # and I ki jagah ! ko bhi use sakte hain. yah tricks password ko secure karne me jyada madadgaar hota hoga.

3. Phone number ke saath verification alert daale :-


Kuch service jaise Gmail password ko mobile se connect karne ki suvidha deti hai. apne Gmail ko secure karne ke liye apne mobile number sabse accha option hain. Service provide aapke account me password daalne ke baad aap ke mobile number pe code send karta hai us code ko daalne ke baad hi aap apne Gmail account ko khol payenge. is tarah bhi aap apne Gmail account ko secure kar sakte hai.

4. Lamba Password daale :-


Aapka password jitna lamba rahega utna hi accha hoga.
Expert ke anusaar 8 digit ka password hona chahiye lekin aap 12 ya 24 digit ka password lga kar apne password ko strong bna sakte hain.

5. Alphanumeric :-


Aapke password me words or number ka combination hoga to wha or bhi strong password hoga. ho sake to word or number ke saath symbol ya special character jaise :-'!@#$%&* ka bhi istemaal kar sakte hain.

6. Ek Tarah ka password na rakhe :-


Ek password ka use kewal ek hi jagah par hi kare. same password ka use kisi or account ke liye na kare. normal kaam ke liye chootha password ka hi use kare. Aap news website or kisi or genral account ke liye choote password ka use kar sakte hain.


7. Password maneger ka use kare :-


Agar aap apne password ko lamba bna bhi rahe hai or aapko isse yaad rakhne me problum ho rha hai to aap password maneger ka use kar sakte hain password maneger aapke sabhi password yaad rakhta hain iske liye aap LAST PASS ya 1PASSWORD ka bhi use kar sakte hai.

Hum ummid karte hai ki aapko hamara ye article bahut aaya hoga aur iske dwara aap apni importent cheezo ko surkshit rakhne me bhi bahut madad mili hogi.

Agar aapke kuch samsya ya sujhao hai to aap hame neeche comment kar sakte hai... :) :)
Share:

1 comment: