Saturday, 23 April 2016

Badiya Password Bnane Ki 7 Best Tricks




Operate Mini Google aaj aapke liye lekar aaya hain password bnane ke kuch aasan se tips jisse aap apni Importent cheezo ke password ko bahut acchi tarah se secure kar sakte ho.

Agar aap apne mail account, facebook account, bank account ya ATM account ke password ko hacker se bchana chahte ho jisse koi aapka account hack karke aapke account se koi galat kaam na kare To aapko in 7 tricks ko jaroor follow karna chahiye....


1. Sentence Ka Istemaal Kare :-


Password ke liye kisi sentence ke baare me sochna chahiye jo kewal aapko pta ho jaise ki 'my name is SHANTUR GUPTA'. ab aap is sentence ke adhaar ko apne password ke liye select kar sakte, isse sentence ka har pahle akshar ko apne password ke liye use kar sakte hain.
Ex:- 'mnisg' .

2. Trick ka istemaal kare :-


Password ke liye kuch trick bhi apna sakte hain.
EX :- Simple password 123456 ki jagah aap 'pass123456word' ko use kar sakte hain. Ya phir aap A ki jagah @ or S ki jagah $ or H ki jagah # and I ki jagah ! ko bhi use sakte hain. yah tricks password ko secure karne me jyada madadgaar hota hoga.

3. Phone number ke saath verification alert daale :-


Kuch service jaise Gmail password ko mobile se connect karne ki suvidha deti hai. apne Gmail ko secure karne ke liye apne mobile number sabse accha option hain. Service provide aapke account me password daalne ke baad aap ke mobile number pe code send karta hai us code ko daalne ke baad hi aap apne Gmail account ko khol payenge. is tarah bhi aap apne Gmail account ko secure kar sakte hai.

4. Lamba Password daale :-


Aapka password jitna lamba rahega utna hi accha hoga.
Expert ke anusaar 8 digit ka password hona chahiye lekin aap 12 ya 24 digit ka password lga kar apne password ko strong bna sakte hain.

5. Alphanumeric :-


Aapke password me words or number ka combination hoga to wha or bhi strong password hoga. ho sake to word or number ke saath symbol ya special character jaise :-'!@#$%&* ka bhi istemaal kar sakte hain.

6. Ek Tarah ka password na rakhe :-


Ek password ka use kewal ek hi jagah par hi kare. same password ka use kisi or account ke liye na kare. normal kaam ke liye chootha password ka hi use kare. Aap news website or kisi or genral account ke liye choote password ka use kar sakte hain.


7. Password maneger ka use kare :-


Agar aap apne password ko lamba bna bhi rahe hai or aapko isse yaad rakhne me problum ho rha hai to aap password maneger ka use kar sakte hain password maneger aapke sabhi password yaad rakhta hain iske liye aap LAST PASS ya 1PASSWORD ka bhi use kar sakte hai.

Hum ummid karte hai ki aapko hamara ye article bahut aaya hoga aur iske dwara aap apni importent cheezo ko surkshit rakhne me bhi bahut madad mili hogi.

Agar aapke kuch samsya ya sujhao hai to aap hame neeche comment kar sakte hai... :) :)

Thursday, 21 April 2016

Apne Mobile ke Virus ko Htane ke tareeke

Apne android Phone ko virus ko htana bahut hi jaroori hai, kyuki hacker hamesha kai naye virus bnakar aapki parsonal jaankari nikalne ki koshis karte rhte hai. lekin aap kuch aasan tareeke se apne mobile ke virus ko hta sakte hai.





**Android Phomne ko Virus se bchane ke tarike**

Neeche diye gye kuch tarike se aap apne Mobile ko Virus free rakh sakte hai.



Ek Accha Antivirus App Daale


Computer ki tarah mobile ke liye bhi kuch Antivirus apps aate hai. bahut si antivirus Apps aap Android play store par free me download kar sakte hai. kuch populer antivirus aur malware apps hai  AVG, Avast.
Ye app aapke background me chal kar virus ko htane me madad karti hai un apps par bhi nazar rakhti hai jo aapke mobile ko kisi tarah ka nuksaan na ho .

Apne Mobile ko kuch samay ke baad scan bhi karte rahna jisse aapke android mobile me virus attack karne ka chance bhi kam rhta hain.



Apps Ko Sirf Play Store Se Hi Download Kare 


Google Android Play Store par jitne bhi apps h wo android mobile ke liye approved h, aapko sirf yahi se apps download karna chahiye.
Kahi aur se download kiye gye apps (APK) me virus ho sakta h jisse aapki parsonal information aur account ki jaankari ko hack (chura) kar sakta h.



App Ki Permission Ko dhyan Se Padhe


Jab hum koi bhi app ko install karte hain to ek window me hame permission show karta h, ye permission apps ki dwara maangi jaati h.
jaise ki bahut se apps aapka camera access karne ki parmission maangte h kuch GPS, Flash ya parsonal info bhi maangta hain to kisi bhi app ko install karne se pahle in parmission ki list ko padhe, aur agar kuch bhi list me gadbadi lage to use install na kare 


Low Quality Apps Ko Delete Kar De


Facebook,Gmail jaisi Apps ko hum high-quality app kah sakte hain. aur kuch apps jaise ki wallpaper Downloding karne ki, aese apps low-quality ki hoti hain.

Ye apps jyadater bekaar companiya bnati hai, aesi companiyo ki apps me Adware ya virus bhi mojood ho sakte h. agar aapke mobile me low-quality apps h ya aesi app jiska aap daily use na karte hain to aap aesi app ko uninstall kar sakte hai. isse aapki memory ki space bhi badhegi aur battery ki bhi bachat hogi.



Unknown Computer Ya Phone Se Sharing Naa Kare

Aap apne mobile ko Computer ya Laptop se connect karne se pahle ye confirm kar le ki kahi computer ya laptop me virus to nhi hain.
Aur apne friends ke saath chip (Memory Card SD) share karne se pahle bhi dekh le usme virus to nhi hain .

Aaj Kal virus se protect karna bahut hi jaroori hain. jisse aap apne Android mobile ko hang ya hack hone se bcha sakte hain.

Saturday, 16 April 2016

Gmail Kya Hai Aur Is par Account kaise bnaye


Agar aap internet use karte h aur aapka gmail account nhi h to ye bahut galat baat h. chalo aaj hum aapko gmail account bnana sikhate h.
Aaj kal ke yug me gmail account bahut hi jaroori account ho gya h, jo ki online kaamo me gmail account poocha jata h.



*** Gmail Account Kya Hota Hain ??? ***

Gmail account ek aesi cheez h jiske dwara aap kisi doosre gmail account wale ko msg kar sakte h ya koi document koi data bhi attach kar sakte hain.
isme ek username aur ek parsonal paasword hota hain. jinki madad se hum google ki site par jaa hum Log In kar sakte h.

Example-: Shanturgupta@gmail.com
Ab me aapko aage gmail account bnana sikhane jaa rha hu bus aap mujhe follow karte rahe



** Gmail Account Kaise Bnate hain??? **

Gmail google ki hi ek service hai isiliye ise gooogle account bhi kahte h. Gmail account bnana bahut hi Simple h. bus aapko itna karna hain ki aap mujhe follow karte rhe or agr aapko meri koi baat samjh me nhi aati hain ya koi or problum hai to is post ke neeche comment kare. me aapki help jaroor se jaroor karunga.


Sabse pahle aap www.Gmail.com site par jaaye 
Ab Create an Account par click kare
Ab aapke computer me ek nya form khul jayega jisme aapko apni details daalni hain.





1:- Isme aap apna first and last name daale
(Example:- mera naam h Shantur gupta to mera first name Shantur or last name Gupta)

2:- USERNAME me aap apna khud ka naam ya koi bhi naam ya apna koi number bhi bhar skate h 
magar aap isme wahi naam ya number daal sakte h jo kabhi google account me use na kiya gya ho
<Ex:- maan lo aapka naam rahul h or rahul username daalne par error aa rha h to aap use change karke naam me privartan karte rho.

3:- Ab PASSWORD me aapko aese word bharne hai jo aap kabhi bhoole nhi aur saath me kisi ko pta bhi na chale iske liye sabse bahter tareeka hai me aapko meri agli POST me btaunga .filhal aap aesa kariye apne password me (ABC,123.!#*$&.aBc etc.) tarike ke daale Yaani word number or kuch special Carracter daale or ha ye  password aap acchi tarah se yaad kar le taaki aapko aage LOG IN karne me koi problum na ho.

4:-  Upper jo aapne password dala h phir usi ko phir se aap yha daale

5:- Isme aapko apni date of birth daalni h. yaad rhe ye ek dum sahi bharna hai kyu ki future me ye kabhi aapka account band hne par inki jaroorat padti h.

6:- isme aapka Gender bharna hain.
(Ex:- Agar aap boy ho to male aur agar aap girl ho to female)

7:- isme aapko apna mobile number daalna h jissse aap apna Gmail Acount bnana chahte hain.

8:- isme aapko jiski pahle se kisi Gmail Account bni hui h uska username daale. 

9:- Isme aapko 'prove you're not a rebot' ko tick karna hain.

10:- Isme aap jis Country ke h us country ko select kar le.

11:- Gmail ki Term Of service and policy ko tick kar de.

12:- Next Step par click kar de.

Ab aapke saamne ek or form khul jayega






AB aapko aapna Mobile number verify karna hai to phone number ki jagah par apna mobile number bhar do ye wahi number hona chahiye jo abhi abhi iske pahle wale form me dala tha.
1:- ab aapke paas verify karne ke 2 option dikhenge ek SMS ka aur ek CALL ka. 
sms wala jyada bahter hain to us par tick kar dijiye
2:- ab Continue ke button par click kar de
ab aapke mobile par ek SMS aayega jo number aapne dala hoga
SMS me kuch password honge jinhe aapko is form me daalni h
>(Note- aapko ye password 15 minute ke ander hi verify karne h warna aapka Account expire ho jayega )<



1:- isme aapke paas jo SMS aaya hai usme diye gye password daale.
2:- Ab Continue wale button par click kar de.

ab jo form khulega usme aapse google par profile picture lgane ke liye poocha jayega. aap chahe to profile bna sakte hai. 
Magar abhi hum gmail account par kam kar rhe h to NO THANKS par click kar de.
ab phir aapke saamne ek aur form khul ke aayega 
jisme aapka Google Account ban gya h aur aapne new gmail ID bnaya h to Google aapka Welcome kar rha h
phir aap Get Start button par click kar de






Lo ho gya aapka gmail account ban kar taiyaar h ab aap jab chahe tab Gmail.com site par jaa kar LOg in kar sakte h aapko bus itna karna hain ki username or password is site me daalne hai aur aapka account aapke saamne hoga.....



Agar aapko koi problum hoti hain to aap Necche comment kare hum aapke msg ka reply jaroor karenge.... :) :)

Friday, 15 April 2016

Andriod Mobile Chori Hone Ya kho Jaane Ke Baad kya Kare 5 Jaroori Baate


Aaj kal har koi smart phone use krta h. Har kisi ke paas koi na koi android mobile mobile mil hi jata h. aese me smart phone chori hone ya kho jana aam baat ho gya h. Daily pta nhi kitno ka mobile gum ho jata h but problum tab hoti h, jab aapki parsonal data mobile me hoti h or aapke gmail,facebook,whatsapp jaisi ID mobile me log in rhti h. Isse dar lga rhta h ki kahi koi meri Id se koi galat istmaal na kare.

Magar ab aapko tention lene ki jarorat nhi h, ab aap apne doosre phone se chori huye mobile ko control kar sakte h. isse choor ko ya phir aapko khoya hua mobile jise  bhi milega usko mobile ki jagah sirf khilona hi haath lagega. ek aesa dabba jisse sirf bacche hi khel sakte hai.


Aaj ke time me market me aese aese app available hain jo sabke baare me koi bhi nhi jaan sakta. In me se kuch app bahut kaam se hote h or hamari badi se badi dikkate (problum) solve kar sakte h. jisse hame andriod mobile se hi bahut kuch control karne ka power mil jata h. isi technology ki help se hum apne khoye huye ya chori huye phone ko apne doosre phone se control karke usme se jaroori parsonal data remove kar sakte hai.
    

Is post me aapko kuch aesi tricks btane jaa rha hu jisse aapko khoya hua mobile ya chori kiya gya mobile fir se aapko mil sakta h. ya phir aap apne mobile me se apni parsonal information delete kar  sakte h.isse aapko sirf khone ka nuksaan hoga baaki aapki sabhi data secure ho jayegi.



****5 Importent Tricks:Mobile Phone Chori Hone Ya kho jaane ke baad kya kare****


Apna mobile khone ke baad wapis milne ki chance(sambhawna) to bahut kam hi hoti h but aap apni taraf se khosis kar sakte hai Ho saakta h aapko koi mobile wapis bhi louta de, kyuki us mobile ko dabba bhi bna sakte ho..


***1. Track Your Mobile Location***

Mobile ke kho jaane ya chori hone par sabse pahle aapko phone ki location pta karni chahiye. isme google aapki help karega. google aapki android mobile ki location btayega. jisse aapki phone ki location ka pta bhi chal jayega. saath me aap google ki madad(Help) se khoye huye mobile ki ring bhi bja sakte ho.Acchi baat yah ki agar aapka phone silent me hoga to bhi ring full valume me bjega.

***2. Warning For Thief***

Andriod device maneger me aap chor ko warning de kar aaghah kar sakte hain. iske alawa aap apne phone ko chori karne wale ko messege bhi kar sakte h ki aap is phone ko wapis kar de warna me ise deactivate kar dunnga. phone ki sim band kar dunga. phir ye mobile dibba ho jayega or ye mobile aapke koi kaam nhi aayega. isse accha hoga ki aap is phone ko wapis kar de. iske liye aap chor ko ya jise bhi aapka khoya hua mobile mila ho use 100-500 (koi bhi amount ) offer kar sakte h.
msg me aap apna contact num. bhi add kar sakte h.
agar phone paane wale ki aapki baat samjh me aa gyi hoti to wo aapka mobile wapas kar sakta h .

***3. All Account Ko Secure Kare***

Aapke mobile me agar gmail , facebook ya twitter koi bhi social account Log In hain aur aapka Android Mobile chori ho jaaye ya kahi kho jaaye or upper btaye 1 num. trick se bhi mobile ka pta na lge to sabse pahle aap doosre mobile me log in karke sabhi ID par se log out kare. sabhi social network par other device par Sign Out All Other Session ka option hota hain. isse aapke saare account secure ho jayenge aur koi bhi aapki ID ka galat upyog nhi kar payega.

***4. Unclick Other Apps Account***

Mobile me other apps jaise Drop Box Ya Google Drive jaise bhi hote h inme bhi aapke parsonal data ho sakta hain. So mobile kes chori hone par aap doosre android mobile me se in app par log in karke other app ko Unclick kar sakte ho. iske liye aap is app ke profile setting me jaaye wha par security ke option me unclick ka option hota hain, us par click karke apne khoye huye android mobile me se saari data delete kar sakte h.

Mobile phone chori hone par sabse pahle aap mobile ki sabhi Seem Block kare. jisse chor aapki sim se galat call na kar sake. iske liye aap apni sim Oprator Costomer care me baat karke sim block karwa sakte h.

***5. Delete Mobile All Data***

Agar aapko lagta hai ki ab mera Android Mobile wapas to mil nhi sakta hai to aese me aap Mobile ka data delete kar sakte h. jisse jisko bhi aapka phone mile ya jisne bhi aapka phone churaya hai. uske haath aapki saari parsonal data na lge . isske liye aap doosre mobile ke Android Device Maneger me jaaye wha aapko phone me data delete karne option milega. in feature ki help se aap apne mobile ko puri tarah se control kar sakte h. fir chahe aapka phone kho gya ho ya chori ho gya ho.





Ummid karta hu ki ye post acchi lgi hogi or aapko phone chori hone ke baad kya karna h uski poori jaankari mil gyi hogi.
Agar me sahi hu to is post ko jaroor se jaroor Share kare........

Saturday, 2 April 2016

1 Android Mobile Me 2 WhatsApp, 2 Facebook, 2 Twitter kaise chalaye

Hello dosto..  

Aaj me aapko btane jaa rha hu, jo bilkul Latest Tricks hain. aap sab Whatsapp,facebook,twitter jaroor use karte honge. ye 3 sabse popular , sabse jyada popular Social media Network hain.



Aaj me aapko ye btane jaa rha hu ki 1 android mobile me kaise 2 whatsapp,2 facebook,2 twitter Account kaise use karte hain.



Ek Mobile Me 2 Account Kaise Use kare


friends ye pahle ek problum thi par Android ka lolipop version 5.1 me ham do user add kar sakte the or unki madad se bhi ek hi mobile me 2 whatsapp or doosre app use kar sakte hai.. par aaj hum dekhenge ki kaise ek app ki help se hum ek hi mobile me 2 whatsapp use kar sakte hain.

Step:1  Sabse pahle aapko Parallel Space App download karna hoga. ya phir phir neeche diye gye Link par click karke application download bhi kar sakte hain.


        



                 Download Parallel Space App



Step:2  Download karne ke baad ab ye app install ho jayega.

Step:3  Ab app ko Open kare aur isme koi bhi app select kare jisko aap 1 mobile pe 2 account chalana chahte ho

                        



jaise facebook, whatsApp, twitter...
jitne bhi App aapke mobile me install hai aap unko add karke doosre account ke liye use kar sakte hai..

Step: 4 Appko select karne ke baad usko open kare aur apni New ID open Karke usko Use kare.

Is tarah aap kisi bhi app me double account use kar sakte h. agar aap game ke sokeen hai to aap Game ko bhi Double install kar sakte h iski madad se ....


Note:- Agar aapke mobile ki memory kam hai to ho sakta h aapka Mobile hang hone lge, isiliye jyada app bhi use na kare