Wednesday, 26 April 2017

Facebook Account Delete And Deactivate kaise kare (Hindi me)

Facebook ek aesa social media site h jo is time agar koi net use karta h to uska facebook par 100% account hoga. Kuch survey ke hisaab se average lgaya gya h ki ek aadmi ek din me kam se kam 23 minutes facebook use karta h.



Agar simple kahu to kuch log facebook ka keeda rahte h. choti se choti cheez ko facebook par share karte h jaise kab khana khaya, kab paani piya, kab soya, kab utha, Din bhar me 20-30 post daalte h. aur likes ke liye kya batau kya pagalpan h, comment to bus ek aa jaaye to usi ko thanks like bolenge taaki comment badhe, kheir.....apne topic par aate hain.



Aaj me is post me aapko btaunga ki hum apne Facebook Account ko Deactivate kar sakte h aur kaise hamesha ke liye apne Facebook Account ko Delete kaise kare..


Facebook Account ko deactivate kaise kare

Sabse pahle hum ye samjh lete h ki deactivate karne se hota kya hain--

Facebook Account ko jab koi deactivate karta h to uska account koi search nhi kar pata or uske jitne bhi photo or video h wo kisi ko bhi nhi dikhta. Account ko deactivate karne ke bahut bahut se karan ho sakte h jaise aapka exam chal raha ho ya facebook se thoda door rahna chahte ho etc.

To account ko deactivate karne ke liye sabse pahle apne account ko Log In kare.





Setting >> Security >> Deactivate your account

Ya phir direct jaane ke liye is link par click kare

                        Deactivate Facebook Account

Ab jo page open hoga usme aapke account deactivate ka karan poochega.


1- isme aap koi bhi select kar sakte h.
2- aur last me Deactivate ke button par click kar de.

Agar aapne Facebook page Banaya hain to uske liye bhi poocha jata h ki aap kisi aur ko admin bnana chahte h to bna sakte h ya phir hamesha ke liye delete kar de.

Ye bhi Padhe: Facebook Par Page kaise bnate hain



Facebook Account Ko Hamesha Ke Liye Delete Kaise Kare

Facebook account delete karne ki aapki koi parsonal wajah ho sakti hain. ho sakta ho aapne do account bna liya ho. jo kuch bhi ho chaliye dekhte h FB account kaise delete karte hain.

Sabse Pahle aap apne facebook account me Log In kare. phir iske baad Is button par click kare :- 
    
                     Delete Facebook Account Permanently

Next ab ye page open hoga, Delete  My Account ki button par click kare.


Click karne ke baad aapke account ka password fir se daalna hoga. phir jo code h use box me daalna hoga or last me ok par click kare..




Ab aapke saamne Ek msg aayega ...---

 Is msg me Likha hain ki aapka account Deactivate ho gya h or 14 din tak aap apne account ko login karke deleteing cencel kar sakte ho.

Facebook account ko delete karne ke 14 din baad koi tareeka nhi h account ko wapas recover karne ka.

Agar aap apne facebook account ko delete hone se rokna chahte h to aap Fb Log In kare phir aapke saamne ek aesa page aayega. 


Aap chaaahe to 14 din pahle account delete karne ki request ko cancel kar sakte ho.
log in karne ke baad is page ke Cancel Deletion par click karne par aaka account phir se active ho jayega..

Agar aapko koi bhi jaankari chahiye facebook se releted to aap hame jaroor comment karke pooch sakte ho..

Note:- please koi ye na poochna ki facebook ko hack kaise karte h, is topic par me aapki koi madad nhi kar sakta , haa agar ye jaanna chahte ho ki facebook par security kaise strong kare to me usme jaroor madad kar sakta hu


Agar aap facebook account delete nhi kar rahe h ya aapka koi doosra account h to pls Chutki Me Jaankari Ka Facebook Page jaroor like kare.

Sunday, 3 July 2016

Gmail Account Par Profile Picture Kaise Change Kare

Gmail account hamare bahut usefull h. jiska use hum kisi ko Email send karne ke liye karte hain. Isiliye gmail bhi billions number par hain. Gmail pe hum kisi ko mail kar sakte hai ek acche impression ke liye. jo ki ek good looking profile picture bhi hona chahiye.






Gmail profile picture change karne ke liye aapko sirf kuch easy step follow karne. Toh ab step by step process jane kaise gmail ka profile picture change kaise karte h. Ye method Gmail ke standard basic view me use kare.



Step 1: Browser me Gmail Website open kare Aur Log in kare.

Step 2: Right side me corner par Setting ka gear box bna hua h.
(jo ki Screenshot me dikhaya gya h)
 us par click kare aur setting naam ka option ko select kare.



Step 3: Ek page open hoga, jisme Genral tab par click kare.

Step 4: Page ko scroll down kare, aapko Blue colour me Change Picture ka option dikhega, us par click kare.







Step 5: Ek PoP page open hoga, phir Choose File par click kare.




Step 6:  Aap jis photo ko apne gmail profile picture par lgana chahte ho use select karo, picture select karne ke baad aapko photo ko crop karna hoga.
picture ko crop karke Apply Changes pe click kare.




I'm sure !!!! ki aapne upper diye gye step ko follow karke apne gmail id ka profile picture change kar liya h. gmail pe profile picture change karne ka ye sabse aasan tarika tha. yadi aapko abhi bhi koi bhi problum hoti h profile pic change karne me toh comment karke pooch sakte h. mujhe aapko help karne me khusi hogi.

Tuesday, 21 June 2016

Whatsapp Se Paise Kaise Kmaye

Hello Dosto.. Kya aap whatsapp se paise kmane ka tarika dhoondh rhe hain. Agar ha to aaj ke is post me hum aapko sabse easy wala tareeka btayenge jisse koi bhi is es post ko padh kar aaram se earning kar sakta hain.

Friend's, whatsapp ek popular Social Messenger app h. jo jyadater sabhi Android user ke phone me install hota h. log ghanto whatsapp par chat karte rhte hain. lekin kya aapko pta h ki whatsapp kewal chat karne me hi kaam nhi aata. yeh ek bahut accha app h jisse aap online earning kar sakte hain. jyada na baaat karte huye chalte h aur jaante h ki kaise whatsapp se paise kaise kmaye..




Whatsapp Se Paise Kmane Ke Aasan Tarike


#1. Link Shortening Service Se kmaye

Dosto Link Shortening ka matlab hota h kisi link ko short (chota) karna. Aajkal Internet par aesi kai website hai jo kisi bhi link ko chota kar deti h aur jab bhi koi vyakti us link par click karta h to waha per click par paise deti hain. link shortening website paise kmane ka best tareeka hain. Iske liye sabse pahle aapko internet par moujood koi best content dhoodhna hoga jaise Jokes,Video,Funny Image,usefull infomation etc. fir aap eska link (URL) copy kijiye. uske baad link shortening website par jaakar ise short kar le. ab apne friends, family ko whatsapp ya kisi social messenging website par share kare aur per click par 5 se 50 tak kmaye.

Agar aap ab bhi samjh nhi paye ki link shorter service se whatsapp dwara paise kaise kmaye to me aapko ek example ke dwara samjhta hu.

Ex- jaise is site par ek post h ki badhiya password bnane ke 7 best tricks, iska link hai http://shanturgupta.blogspot.com/2016/04/badiya-password-bnane-ki-7-best-tricks.html ab me is link ko short kar du to ye ban jata hai http://sh.st/DWb66 Ab aap dekh sakte h in dono me anter. dono me se koi bhi link open karne se aap ek hi content par pahuchange. 
ab aapke mind me ye sawal aa rha hoga ki hum link kaha se chota kare aur hame paise kaha se milenge.

mai aapke liye kucch top-popular URL shortener to Earn Money - 2016 website provide kar rha hu ise use kare..


Is Top popular site par jaaye aur Join hokar paise kmaye.

Please This Read :- YouTube Se Paise Kaise kamye


Agar koi problum hoti hai to aap hame neeche comment me jaroor btayeAnd Pls Share This Post...

Monday, 20 June 2016

India Me Unlimited Free SMS Kaise Send Kare ( 10 Top Website )

Hello frnds bahut din baad me aap logo ke saamne ek accha Article laaya hu. 
aaj hum aapko btayenge ki aap duniya me kahi bhi unlimited sms send kar sakte h. aese m me aapko 10 top website ke baare me btaunga jo free sms send karne ka feature deta hain. aur ye bhi btaunga ki free me sms kaise send karte hain.


Top 10 Free Unlimited $m$ Site


1. Way2Sms

Way2sms free sms send karne ka sabse popular website hain. aapko  is site apna ek account bnana padega. phir aap kisi ko free sms send kar sakte ho.
Way2sms ka Android App Play Store pe available hai.
Ab me aapko btaunga ki way2sms par account kaise bnate h
1. Sabse pahle aap Browser par Way2sms.com site par jaaye.
2. site par jaate hi aapko new Account open karne ke liye Register karne ka option milega. us par click kare.


Jaise hi aap Register Here par click karoge next page open hoga jisme aapko apni parsonal infomation fill karni hogi .

fill karne ke baad aapko jo number aapne daala h usko verify karni hogi. phir use submit karne ke baad aap duniya me kahi sms send kar sakte h.

2. 160by2.com

160by2 india ka sabse adhik use kiya jaane wala free sms site hain. aapko sirf apne phone number se sign up karna hai or phir aap free sms send kar sakte hain.
India ke alawa kuwait,UAE, Singapore, Saudi Arab, Philippines & Malaysia yha bhi free me sms send kar sakte hain.

3. Fullonsms

Fullonsms sirf india me free sms send karne ki feature deta h. lekin bahut fast sevice ye deta h bus kuch secando me aap apne frnds ya family member ko free me sms send kar sakte hain.

4. Ultoo

Ultoo.com bhi ek easy or populer free send sms site h. yha bhi aapko register karna hain phir aap free me sms kar sakte h. ultoo pe credit earn karke free recharge bhi kar sakte hain.

5. Site2sms

Site2sms free sms send karne ke saath saath free voice call ka bhi feature deta hain. jisse aap kahi bhi call karke baat kar sakte h.

6. A Free SMS

Ye ek aesa website h jisse aapko North america, south America, Europe, Africa, Asia and Oceania tak free sms send kar sakte hain, yha aapko register karne ki jaroorat nhi h aapko simply aapko is site par jaakar number or message type karna hain or send pe click karna hai.


7. Indyarocks Free SMS

Indyarocks aapko free sms ke saaath or bhi bahut se feature deta hain. aap yha 240 character ke sms bina number register kiye send  kar sakte h. ye site bhi fast delivery karta hain.

8. Use2Sms

Aapko ye use2sms ke website pe register karna h or phir aap free me kisi bhi network pe sms send kar sakte hain, 

9. Youmint

Youmint.com bhi ek popular website h jisse aap free me sms send kar sakte hain. yha pe aap facebook, Google+ or mobile number se bhi register kar sakte hai. youmint pe free sms ke saath saath TT (talktime) bhi earning kiya jaa sakta hain.

10. SMS Fi

Sms fi pe free sms ke sath sath aap bahut kuch kar sakte hai. jaise ki   wallpaper , greeting Card or photos download karke send bhi kar sakte hain. yha pe world ke news ki bhi jaankari paa sakte hain.




अगर कोई problum होती है तो आप हमें नीचे कमेंट कर सकते है और हा शेयर करना ना भूले

प्लीज .... :) 

Saturday, 14 May 2016

YouTube Se Paise Kaise Kmaye (Poori Jaankari)

You Tube se paise kmana koi muskil kaam nhi h. Youtube ko google ne online video dekhne ke liye hi bnaya h. is par video upload hum jaise log (people) hi karte h. iske badle unko income bhi hoti hain. 
Youtube, blogger, adsense, adwords or bhi bahut saari google ki hi service h. jin se aap bina paisa invesment kiye earning kar sakte hain. Is post me mai aapko youtube se paise kmane ki jankari detail me bta rha hu. Agar aap youtube me interest h aur youtube se paise bhi kmana chahte ho to bus thoda time jaroor lagega aur thoda mehnat bhi jyada karni padegi. lekin is post ko padhne ke baad hi . I promiss aapko jaankari acchi milegi ... :-)




YouTube channel videos upload karne ka loyal community hai. jis par acchi(great) video upload karke monthly 100k se jyada paise kma sakte hain. kuch most video maker abhi youtube se lakho rupye kma rhe hain. Aap bhi paise kma sakte ho. lekin uske liye aapko kuch chiizo ka hona bahut hi jaroori h. apna youtube channel bnane or youtube par video upload karke paise kmane se pahle hamare is step ko follow kare..



Youtube Se Paise Kmane Liye Kya Kya Cheezo Ki Jaroorat Padti Hain


"You tube se paise kmane ke liye kya kya hona chahiye. "ye sabse bda sawal h. kyuki bahut se log isi karan se youtube se earning karne me fail ho jaate hain."

Option 1: Ye wo cheeze h jo aapme honi chahiye :

1. Your voice: youtube se paise kmane me sabse pahle jaroori h ki aapki aawaj kaisi h kyu ki aapki video ke viewer(Audieance) jo honge wo jyadater dhyan denge aapki aawaj par.
2. Your Style: Video me aap sirf bol kar bnane par jyada theek nhi padega usse accha h ki aap video ke saamne aakar visiter se baat karte huye video bnaye ye sabse jyada better padega. So aese me aap par depand karta h ki aapki style kaisi hai. viewer aapko kitna like karte hai.
3. Your Tailent: Aap video ke throw logo ko kitna sikha sakte ho logo ko kitna impress kar sakte ho. jisse wo aapke doosre video ka besabri se intjaar kare.
4. Video Quality: aapke bnaye huye video quality acchi honi chahiye jisse jyada se jyada log aapki video quality ko pasand kar sake.

Option 2: Ye wo cheeze h jo aapke pass honi chahiye :

1. Camera: video bnane ke liye aapke paas ek accha camera hona chahiye chahe wo koi bhi device ho.
2. Video Editing: Aapko video edit karne ke liye thodi bahut basic knowledge honi chahiye. jisse aap video ko edit karke use better bna sake.
3. Computer: Video edit karne ke liye aapke paas ek computer ya laptop hona jaroori h. mobile par youtube se paise kmane ki sochne par apna wkt mat barbaad kare.
4. Good Audience: Video banane ke se pahle Internet par aapka facebook, google+, twitter etc jaisi social media par thode bahut frnds hone chahiye jisse wo aapke video ko dekh kar aur share kar sake.

Ab aapko ye to pta hi chal gya hoga ki youtube par video upload karne se pahle kin kin cheeezo ki jaroorat padti hain aur kya kya hona chahiye. To chaliye ab aage jaante h ki youtube pr video upload karke kamayi kaise karte hain.


YouTube Video Se Income Kaise Hoti Hain


Hum jab bhi nye kaam ki shruwaata karte h to uske baare me puri jaankari hona jaroori hota h or agar nhi h to us kaam ke baare me pta kar lena chahiye. ye har kaam me succes hone ki mere taraf se tips h.to hum baat kar rhe the ki aap jo video upload karoge usse earning kaise hogi.

Jab bhi koi aapki video dekhega to usse 2 tarah se kamayi hogi.
  1.  Jab koi aapki video par show hone wale ads par click karega to us par click karne se aapki $0.50 se $5 tak ki kamayi ho sakti hain.
 2. Agar koi aapki video 30 second se jyada dekhega. maan lijiye agar aapki video par 30 second se jayada wale 1000 views h to aapko iske $1 se $5 tak mil sakta hain.

Ab aap soch rhe honge ki me aapko Fix income kyu nhi bta rha hu to jaan lijiye iski wajah ye h ki alag alag country me alag tarah se paise milte hain.


YouTube Se Paise Kaise Kmaye (Full Guide)



Youtube se paise kmane ke liye aapko apna youtube channel bnana hoga aur us par video upload karni hogi phir apne youtube channel ko adsense se jodna hoga. Don't worry ghabraiye nhi me aapko sab kuch details me samjhaunga bus aap is post ko poora padhiye. thodi boring lagegi lekin jaankari kamal ki milegi.


    "To chaliye ab hum aapko btate h ki youTube se paise kmane ke liye eK complete youtube channal kaise bnate hain."


Step 1:- Create Youtube Channel

   Sabse pahle aapko youtube channel bnana hoga. youtube channel bnane ke liye aapko Youtube.com par jaaye or apni Gmail ID se log in kijiye 
Agar aapke paas gmail ID nhi h to pahle aap Google Par Gmail Account Kaise Bnaye ye post padh kar apni gmail ID bna le. uske baad fir se post ko yahi se follow kare.


Step 2:- Upload 4-5 Video

          You tube channal bnane ke baad doosra kaam h youtube par kuch video bna kar upload karna to apne youtube channel par ab 4-5 khud ki bnayi huyi video upload kare.

Step 3:- Enable your Channel For monetization
         
          Youtube channel par kuch self created video upload karne ke baad teesra kaam aata h you tube channel ko monetize karna yani youtube videos ko monetization karna. aage me agli post me btaunga ki kaise video monetize karte h.

Step 4:- Connect Youtube Channel To Adsense
   
               Youtube channel ko monetize karne ke baad 4th kaam h youtube channal ko adsense se jodna. aapki video par jo ads show honge wo adsense ke add hote h or Adsense se hi aapki income hogi.
               Me agli post ko btaunga ki youtube channel ko adsense se kaise jodte h.


"Note:- jab aapki uploaded videos par 2,000-2,500 views ho jaaye tabhi aapko youtube channel ko adsense se cannect karna hoga. usse pahle karoge to aapka Adsense Account approved nhi hoga."

Step5:- Start Making Best Video

           Ab aapka youtube channel ban gya hain aur aapne use monetize or adsense se cannect bhi kar liya h. to ab aapka Youtube se paise kmane ka kaam complete ho chuka h. ab aap sirf video bnakar upload kare or income kijiye.
To ab mera bhi ek kaam kar dijiye sirf  2 min ka samy de kar is post ko facebook,twitter, google jaha bhi aap karna chaaho share kijiye..



BY THE WAY agar aapko is post me btaya tarika samjh nhi aaya ho or aapke dimaag me youtube se releted koi question poochna ho to aap neeche comment karke pooch sakte h... :) 

Thursday, 12 May 2016

Mobile Hang Hone Par Kya Kare



Hello Dosto aksar aapne dekha hoga jab dher saari phone application open karne par kabhi kabhi mobile hang ho jata h.
Ya kabhi aap internet surfing kar rhe ho or beech me kisi ka call aa jaye to phone hang ho jata h jisse hame problum hoti h

aaj kal hanging ki problum kaafi jyada hi badh gyi hai
agar aap game khelte ya internet chlate wkt aapka mobile hang ho jaaye to aapko bahut preshaani hogi jisse aap sochte ho ki kaise kya karu ki ye mobile theek se chalne lage.

To aaj hum aapko btayenge ki aapke smart phone ya android mobile hang hone par kya kare. lekin usse pahle ye jaan le ki aapka Android mobile hang kyu hota hain.


**Anroid Mobile Hang Kyu Hote Hain**


Handset hang hone ka sabse bda karan phone ki internal memory or RAM ki capicity kam hona saath hi agar aapke phone ka Hardware accha nhi h to kuch samay baad mobile hang hone ke baad kaam karna band kar dega aap na use switch off kar sakte hai aur na hi usme koi command de sakte hain.


Apne Mobile ko Hang Hone Ke Baad Theek Kaise Kare...??


Aapko neeche diye gye mere kuch simple steps ko follow karna hoga
Just Read & Follow Mee..

1. Sabse pahle apne phone ko switch karne ki koshish kare.
agar wo switch ho jata h to isse aapke phone me save data save hi rahega

2. Switch off ho jaane ke baad phone ka back panel (mobile ke peeche wala dhakkan) khole or usme se battery bahar nikaal le or agar aap chaaho to usme se sim card or memmory card (Chip) bhi nikaal sakte hai.

3. battery nikaalne ke baad phone ka power button 7-8 second ke liye dabaye rakkhe jisse phone me bachi battery khatam ho jayegi.

4. Ab dubara phone me battery lga le or saath me back cover bhi lga le or phone ko chaalu kare.

Ab sayad aapka mobile kuch theek chalne lga hoga. agar ho sake to Android mobile khareedte samay apne internal memory aur RAM ki capicity jyada wala le jisse aage aapko mobile hanging ki problum nhi aayegi.


Agar aapko phir bhi koi problum hoti h to aap neeche comment kar kare..

Saturday, 23 April 2016

Badiya Password Bnane Ki 7 Best Tricks




Operate Mini Google aaj aapke liye lekar aaya hain password bnane ke kuch aasan se tips jisse aap apni Importent cheezo ke password ko bahut acchi tarah se secure kar sakte ho.

Agar aap apne mail account, facebook account, bank account ya ATM account ke password ko hacker se bchana chahte ho jisse koi aapka account hack karke aapke account se koi galat kaam na kare To aapko in 7 tricks ko jaroor follow karna chahiye....


1. Sentence Ka Istemaal Kare :-


Password ke liye kisi sentence ke baare me sochna chahiye jo kewal aapko pta ho jaise ki 'my name is SHANTUR GUPTA'. ab aap is sentence ke adhaar ko apne password ke liye select kar sakte, isse sentence ka har pahle akshar ko apne password ke liye use kar sakte hain.
Ex:- 'mnisg' .

2. Trick ka istemaal kare :-


Password ke liye kuch trick bhi apna sakte hain.
EX :- Simple password 123456 ki jagah aap 'pass123456word' ko use kar sakte hain. Ya phir aap A ki jagah @ or S ki jagah $ or H ki jagah # and I ki jagah ! ko bhi use sakte hain. yah tricks password ko secure karne me jyada madadgaar hota hoga.

3. Phone number ke saath verification alert daale :-


Kuch service jaise Gmail password ko mobile se connect karne ki suvidha deti hai. apne Gmail ko secure karne ke liye apne mobile number sabse accha option hain. Service provide aapke account me password daalne ke baad aap ke mobile number pe code send karta hai us code ko daalne ke baad hi aap apne Gmail account ko khol payenge. is tarah bhi aap apne Gmail account ko secure kar sakte hai.

4. Lamba Password daale :-


Aapka password jitna lamba rahega utna hi accha hoga.
Expert ke anusaar 8 digit ka password hona chahiye lekin aap 12 ya 24 digit ka password lga kar apne password ko strong bna sakte hain.

5. Alphanumeric :-


Aapke password me words or number ka combination hoga to wha or bhi strong password hoga. ho sake to word or number ke saath symbol ya special character jaise :-'!@#$%&* ka bhi istemaal kar sakte hain.

6. Ek Tarah ka password na rakhe :-


Ek password ka use kewal ek hi jagah par hi kare. same password ka use kisi or account ke liye na kare. normal kaam ke liye chootha password ka hi use kare. Aap news website or kisi or genral account ke liye choote password ka use kar sakte hain.


7. Password maneger ka use kare :-


Agar aap apne password ko lamba bna bhi rahe hai or aapko isse yaad rakhne me problum ho rha hai to aap password maneger ka use kar sakte hain password maneger aapke sabhi password yaad rakhta hain iske liye aap LAST PASS ya 1PASSWORD ka bhi use kar sakte hai.

Hum ummid karte hai ki aapko hamara ye article bahut aaya hoga aur iske dwara aap apni importent cheezo ko surkshit rakhne me bhi bahut madad mili hogi.

Agar aapke kuch samsya ya sujhao hai to aap hame neeche comment kar sakte hai... :) :)

Thursday, 21 April 2016

Apne Mobile ke Virus ko Htane ke tareeke

Apne android Phone ko virus ko htana bahut hi jaroori hai, kyuki hacker hamesha kai naye virus bnakar aapki parsonal jaankari nikalne ki koshis karte rhte hai. lekin aap kuch aasan tareeke se apne mobile ke virus ko hta sakte hai.





**Android Phomne ko Virus se bchane ke tarike**

Neeche diye gye kuch tarike se aap apne Mobile ko Virus free rakh sakte hai.



Ek Accha Antivirus App Daale


Computer ki tarah mobile ke liye bhi kuch Antivirus apps aate hai. bahut si antivirus Apps aap Android play store par free me download kar sakte hai. kuch populer antivirus aur malware apps hai  AVG, Avast.
Ye app aapke background me chal kar virus ko htane me madad karti hai un apps par bhi nazar rakhti hai jo aapke mobile ko kisi tarah ka nuksaan na ho .

Apne Mobile ko kuch samay ke baad scan bhi karte rahna jisse aapke android mobile me virus attack karne ka chance bhi kam rhta hain.



Apps Ko Sirf Play Store Se Hi Download Kare 


Google Android Play Store par jitne bhi apps h wo android mobile ke liye approved h, aapko sirf yahi se apps download karna chahiye.
Kahi aur se download kiye gye apps (APK) me virus ho sakta h jisse aapki parsonal information aur account ki jaankari ko hack (chura) kar sakta h.



App Ki Permission Ko dhyan Se Padhe


Jab hum koi bhi app ko install karte hain to ek window me hame permission show karta h, ye permission apps ki dwara maangi jaati h.
jaise ki bahut se apps aapka camera access karne ki parmission maangte h kuch GPS, Flash ya parsonal info bhi maangta hain to kisi bhi app ko install karne se pahle in parmission ki list ko padhe, aur agar kuch bhi list me gadbadi lage to use install na kare 


Low Quality Apps Ko Delete Kar De


Facebook,Gmail jaisi Apps ko hum high-quality app kah sakte hain. aur kuch apps jaise ki wallpaper Downloding karne ki, aese apps low-quality ki hoti hain.

Ye apps jyadater bekaar companiya bnati hai, aesi companiyo ki apps me Adware ya virus bhi mojood ho sakte h. agar aapke mobile me low-quality apps h ya aesi app jiska aap daily use na karte hain to aap aesi app ko uninstall kar sakte hai. isse aapki memory ki space bhi badhegi aur battery ki bhi bachat hogi.



Unknown Computer Ya Phone Se Sharing Naa Kare

Aap apne mobile ko Computer ya Laptop se connect karne se pahle ye confirm kar le ki kahi computer ya laptop me virus to nhi hain.
Aur apne friends ke saath chip (Memory Card SD) share karne se pahle bhi dekh le usme virus to nhi hain .

Aaj Kal virus se protect karna bahut hi jaroori hain. jisse aap apne Android mobile ko hang ya hack hone se bcha sakte hain.

Saturday, 16 April 2016

Gmail Kya Hai Aur Is par Account kaise bnaye


Agar aap internet use karte h aur aapka gmail account nhi h to ye bahut galat baat h. chalo aaj hum aapko gmail account bnana sikhate h.
Aaj kal ke yug me gmail account bahut hi jaroori account ho gya h, jo ki online kaamo me gmail account poocha jata h.



*** Gmail Account Kya Hota Hain ??? ***

Gmail account ek aesi cheez h jiske dwara aap kisi doosre gmail account wale ko msg kar sakte h ya koi document koi data bhi attach kar sakte hain.
isme ek username aur ek parsonal paasword hota hain. jinki madad se hum google ki site par jaa hum Log In kar sakte h.

Example-: Shanturgupta@gmail.com
Ab me aapko aage gmail account bnana sikhane jaa rha hu bus aap mujhe follow karte rahe



** Gmail Account Kaise Bnate hain??? **

Gmail google ki hi ek service hai isiliye ise gooogle account bhi kahte h. Gmail account bnana bahut hi Simple h. bus aapko itna karna hain ki aap mujhe follow karte rhe or agr aapko meri koi baat samjh me nhi aati hain ya koi or problum hai to is post ke neeche comment kare. me aapki help jaroor se jaroor karunga.


Sabse pahle aap www.Gmail.com site par jaaye 
Ab Create an Account par click kare
Ab aapke computer me ek nya form khul jayega jisme aapko apni details daalni hain.





1:- Isme aap apna first and last name daale
(Example:- mera naam h Shantur gupta to mera first name Shantur or last name Gupta)

2:- USERNAME me aap apna khud ka naam ya koi bhi naam ya apna koi number bhi bhar skate h 
magar aap isme wahi naam ya number daal sakte h jo kabhi google account me use na kiya gya ho
<Ex:- maan lo aapka naam rahul h or rahul username daalne par error aa rha h to aap use change karke naam me privartan karte rho.

3:- Ab PASSWORD me aapko aese word bharne hai jo aap kabhi bhoole nhi aur saath me kisi ko pta bhi na chale iske liye sabse bahter tareeka hai me aapko meri agli POST me btaunga .filhal aap aesa kariye apne password me (ABC,123.!#*$&.aBc etc.) tarike ke daale Yaani word number or kuch special Carracter daale or ha ye  password aap acchi tarah se yaad kar le taaki aapko aage LOG IN karne me koi problum na ho.

4:-  Upper jo aapne password dala h phir usi ko phir se aap yha daale

5:- Isme aapko apni date of birth daalni h. yaad rhe ye ek dum sahi bharna hai kyu ki future me ye kabhi aapka account band hne par inki jaroorat padti h.

6:- isme aapka Gender bharna hain.
(Ex:- Agar aap boy ho to male aur agar aap girl ho to female)

7:- isme aapko apna mobile number daalna h jissse aap apna Gmail Acount bnana chahte hain.

8:- isme aapko jiski pahle se kisi Gmail Account bni hui h uska username daale. 

9:- Isme aapko 'prove you're not a rebot' ko tick karna hain.

10:- Isme aap jis Country ke h us country ko select kar le.

11:- Gmail ki Term Of service and policy ko tick kar de.

12:- Next Step par click kar de.

Ab aapke saamne ek or form khul jayega






AB aapko aapna Mobile number verify karna hai to phone number ki jagah par apna mobile number bhar do ye wahi number hona chahiye jo abhi abhi iske pahle wale form me dala tha.
1:- ab aapke paas verify karne ke 2 option dikhenge ek SMS ka aur ek CALL ka. 
sms wala jyada bahter hain to us par tick kar dijiye
2:- ab Continue ke button par click kar de
ab aapke mobile par ek SMS aayega jo number aapne dala hoga
SMS me kuch password honge jinhe aapko is form me daalni h
>(Note- aapko ye password 15 minute ke ander hi verify karne h warna aapka Account expire ho jayega )<



1:- isme aapke paas jo SMS aaya hai usme diye gye password daale.
2:- Ab Continue wale button par click kar de.

ab jo form khulega usme aapse google par profile picture lgane ke liye poocha jayega. aap chahe to profile bna sakte hai. 
Magar abhi hum gmail account par kam kar rhe h to NO THANKS par click kar de.
ab phir aapke saamne ek aur form khul ke aayega 
jisme aapka Google Account ban gya h aur aapne new gmail ID bnaya h to Google aapka Welcome kar rha h
phir aap Get Start button par click kar de






Lo ho gya aapka gmail account ban kar taiyaar h ab aap jab chahe tab Gmail.com site par jaa kar LOg in kar sakte h aapko bus itna karna hain ki username or password is site me daalne hai aur aapka account aapke saamne hoga.....



Agar aapko koi problum hoti hain to aap Necche comment kare hum aapke msg ka reply jaroor karenge.... :) :)

Friday, 15 April 2016

Andriod Mobile Chori Hone Ya kho Jaane Ke Baad kya Kare 5 Jaroori Baate


Aaj kal har koi smart phone use krta h. Har kisi ke paas koi na koi android mobile mobile mil hi jata h. aese me smart phone chori hone ya kho jana aam baat ho gya h. Daily pta nhi kitno ka mobile gum ho jata h but problum tab hoti h, jab aapki parsonal data mobile me hoti h or aapke gmail,facebook,whatsapp jaisi ID mobile me log in rhti h. Isse dar lga rhta h ki kahi koi meri Id se koi galat istmaal na kare.

Magar ab aapko tention lene ki jarorat nhi h, ab aap apne doosre phone se chori huye mobile ko control kar sakte h. isse choor ko ya phir aapko khoya hua mobile jise  bhi milega usko mobile ki jagah sirf khilona hi haath lagega. ek aesa dabba jisse sirf bacche hi khel sakte hai.


Aaj ke time me market me aese aese app available hain jo sabke baare me koi bhi nhi jaan sakta. In me se kuch app bahut kaam se hote h or hamari badi se badi dikkate (problum) solve kar sakte h. jisse hame andriod mobile se hi bahut kuch control karne ka power mil jata h. isi technology ki help se hum apne khoye huye ya chori huye phone ko apne doosre phone se control karke usme se jaroori parsonal data remove kar sakte hai.
    

Is post me aapko kuch aesi tricks btane jaa rha hu jisse aapko khoya hua mobile ya chori kiya gya mobile fir se aapko mil sakta h. ya phir aap apne mobile me se apni parsonal information delete kar  sakte h.isse aapko sirf khone ka nuksaan hoga baaki aapki sabhi data secure ho jayegi.



****5 Importent Tricks:Mobile Phone Chori Hone Ya kho jaane ke baad kya kare****


Apna mobile khone ke baad wapis milne ki chance(sambhawna) to bahut kam hi hoti h but aap apni taraf se khosis kar sakte hai Ho saakta h aapko koi mobile wapis bhi louta de, kyuki us mobile ko dabba bhi bna sakte ho..


***1. Track Your Mobile Location***

Mobile ke kho jaane ya chori hone par sabse pahle aapko phone ki location pta karni chahiye. isme google aapki help karega. google aapki android mobile ki location btayega. jisse aapki phone ki location ka pta bhi chal jayega. saath me aap google ki madad(Help) se khoye huye mobile ki ring bhi bja sakte ho.Acchi baat yah ki agar aapka phone silent me hoga to bhi ring full valume me bjega.

***2. Warning For Thief***

Andriod device maneger me aap chor ko warning de kar aaghah kar sakte hain. iske alawa aap apne phone ko chori karne wale ko messege bhi kar sakte h ki aap is phone ko wapis kar de warna me ise deactivate kar dunnga. phone ki sim band kar dunga. phir ye mobile dibba ho jayega or ye mobile aapke koi kaam nhi aayega. isse accha hoga ki aap is phone ko wapis kar de. iske liye aap chor ko ya jise bhi aapka khoya hua mobile mila ho use 100-500 (koi bhi amount ) offer kar sakte h.
msg me aap apna contact num. bhi add kar sakte h.
agar phone paane wale ki aapki baat samjh me aa gyi hoti to wo aapka mobile wapas kar sakta h .

***3. All Account Ko Secure Kare***

Aapke mobile me agar gmail , facebook ya twitter koi bhi social account Log In hain aur aapka Android Mobile chori ho jaaye ya kahi kho jaaye or upper btaye 1 num. trick se bhi mobile ka pta na lge to sabse pahle aap doosre mobile me log in karke sabhi ID par se log out kare. sabhi social network par other device par Sign Out All Other Session ka option hota hain. isse aapke saare account secure ho jayenge aur koi bhi aapki ID ka galat upyog nhi kar payega.

***4. Unclick Other Apps Account***

Mobile me other apps jaise Drop Box Ya Google Drive jaise bhi hote h inme bhi aapke parsonal data ho sakta hain. So mobile kes chori hone par aap doosre android mobile me se in app par log in karke other app ko Unclick kar sakte ho. iske liye aap is app ke profile setting me jaaye wha par security ke option me unclick ka option hota hain, us par click karke apne khoye huye android mobile me se saari data delete kar sakte h.

Mobile phone chori hone par sabse pahle aap mobile ki sabhi Seem Block kare. jisse chor aapki sim se galat call na kar sake. iske liye aap apni sim Oprator Costomer care me baat karke sim block karwa sakte h.

***5. Delete Mobile All Data***

Agar aapko lagta hai ki ab mera Android Mobile wapas to mil nhi sakta hai to aese me aap Mobile ka data delete kar sakte h. jisse jisko bhi aapka phone mile ya jisne bhi aapka phone churaya hai. uske haath aapki saari parsonal data na lge . isske liye aap doosre mobile ke Android Device Maneger me jaaye wha aapko phone me data delete karne option milega. in feature ki help se aap apne mobile ko puri tarah se control kar sakte h. fir chahe aapka phone kho gya ho ya chori ho gya ho.





Ummid karta hu ki ye post acchi lgi hogi or aapko phone chori hone ke baad kya karna h uski poori jaankari mil gyi hogi.
Agar me sahi hu to is post ko jaroor se jaroor Share kare........